Sunday, 27 May 2012

..."kuch aise mai pali hun..." dedicated to every female of this country from my side.. Hats off to you all.. : -))

..."Kitne dard se nikli hun aise mai chali hun,
Tu poochta toh khabar hoti kaise mai pali hun..!


Baabul ke dulaar se,
Maiyya ki chitkaar se,
Bhaiyya ke khilkaar se mai pali, mai badhi hun..!


Mere sapno ko apna banaya,
Baabul ne mere aaj par apna sab kuch lutaaya,
Mujhe padhaya, likhaya iss kaabil banaya ke mai kuch kar saku, 
kureetiyon, atyaachaaron se lad saku, jeevan me aage badh saku..!


Mai koi vastu nahi vinimaya vyapaar ki,
Mai hun ek swatantra naari iss sansaar ki,
Sanskaari hun, sarva guni hun toh chup rahu kyun,
Khud par ho rahe atyaachaaron ko yun hi sahoon kyun..!

 
Aaj tooti hun, bikhari hun toh kya hua, mai kal savaroongi,
Mai naari hun koi khilona nahi mai khud ki dhaal banugi,
 mai samaaj se ladungi par teri gali dobaara na mudungi..!


Apne svaabhimaan se ladi hun kuch aise mai chali hun,
Tu poochta toh khabar hoti kaise mai pali hun"...



Created by :-
\/!$/-\rG.. (:)

No comments:

Post a Comment